har chand us ne khugar-e-azar kar diya naghmat-e-zindagi ko to bedar kar diya masumiyat nigah-e-karam ki sitam hui ulfat ka eatibar mein izhaar kar diya phir us ki yaad aai liye gulsitan-e-shauq phir aarzu ko tishna-e-didar kar diya us ne ba-yak-nigah kharide dil-o-jigar hosh-o-khirad ko nazr-e-kharidar kar diya dil ganj-e-be-baha sahi lekin tere liye hum ne to sarf-e-raunaq-e-bazar kar diya har jurm-e-ishq fakhr hai mere liye magar us ki nigahen dekh ke inkar kar diya hasrat bhari nazar wo kisi ki dam-e-widaa marna bhi mere waste dushwar kar diya