dil hamara hai ki hum mail-e-fariyaad nahin warna kya zulm nahin kaun si bedad nahin husn ek shan-e-ilahi hai magar ai be-mehr bewafai to koi husn-e-khuda-dad nahin sar-e-turbat wo khamoshi pe meri kahte hain marne wale tujhe paiman-e-wafa yaad nahin husn-e-arasta qudrat ka atiyya hai magar kya mera ishq-e-jigar-soz khuda-dad nahin lakh paband-e-alaeq na rahe koi yahan tab-e-warasta magar fikr se aazad nahin baham aain-e-wafa rasm-e-mohabbat kaisi waqt ab wo hai ki bandon ko khuda yaad nahin chashm-e-makhmur wo hai kabil-e-gharq-e-mai-e-nab daftar-e-ishq pe jab tak ki mere sad nahin puchhte kya ho tabahi ka fasana mujh se dil-e-barbaad ki surat bhi mujhe yaad nahin zarre zarre mein hai ek aalam-e-mani pinhan khak-e-barbaad ko samjhe ho ki aabaad nahin aap kahte hain ki hai gor-e-ghariban viran aisi basti to jahan mein koi aabaad nahin aansuon ko bhi zara dekh le rone wale in sitaron mein to duniya koi aabaad nahin husn-e-khud main ne kiye aaine ke sau tukde ab na kahna ki nigahen sitam-ijad nahin kab khayalat pe mumkin hai kisi ka pahra dil to aazad raha main agar aazad nahin sina-kawi ke liye shart hai dil ki himmat nakhun-e-dast-e-junun tesha-e-farhad nahin be-khudi manzil-e-irfan hai zara hosh mein aa hai khudi ka ye natija ki khuda yaad nahin tabqa-e-khak mein hai aalam-e-khaosh-abaad jis ko barbaad samajhte ho wo barbaad nahin dil-e-viran ki tabahi ki koi had hai 'aziz' main samajhta hun ki duniya abhi aabaad nahin