dil aaya is tarah aakhir fareb-e-saz-o-saman mein ulajh kar jaise rah jae koi khwab-e-pareshan mein ye mana zarre zarre par tumhaari mohr azal se hai magar kya meri gunjaish nahin shahr-e-khamoshan mein pata us ki nigah-e-wahshat-afza ka lagana hai nigahen wahshiyon ki dekhta phirta hun zindan mein yahi hai ruh ka jauhar tum aaoge to niklega dam-e-akhir ruka hai ek aansu chashm giryan mein meri jamiyat-e-khatir ka saman hashr kya karta qayamat ho gai tartib-e-ajza-e-pareshan mein farogh-e-lala-o-ghul ka tamasha dekhne wale ye mere dil ki choten hain jo ubhri hain gulistan mein 'aziz' aaraish-e-gulshan ki koi intiha bhi hai wo mahw-e-sair-e-gul hain ya gulistan hai gulistan mein