dil hi dil mein ghut ke rah jaun ye meri khu nahin aaj ai aashob-e-dauran main nahin ya tu nahin sang ki surat pada hun waqt ki dahliz par thokaron mein zindagi hai aankh mein aansu nahin shab ghanimat thi ki raushan the ummidon ke khutut din ke sahra mein koi tara koi jugnu nahin chaar jaanib ye saje chehre hain ya kaghaz ke phul rang ke jalwe to hain lekin kahin khushbu nahin teri rahmat ka nahin har chand main munkir magar sar pe jo chadh kar na bole wo koi jadu nahin maslahat hai jin ka maslak wo mere bhai kahan jo na utthen mere dushman par mere bazu nahin