ye kaif kaif-e-mohabbat hai koi kya jaane chhalak rahe hain nigahon mein dil ke paimane kahaniyon hi pe buniyaad hai haqiqat ki haqiqaton hi se paida hue hain afsane na ab wo aatish-e-namrud hai na shoala-e-tur teri nigah ko kya ho gaya khuda jaane hazar teri mohabbat ne rahnumai ki guzar sake na maqam-e-junun se diwane unhi ko hasil-e-yak-shahr-e-arzu kahiye meri nigah mein aabaad hain jo virane tujhe khabar bhi hai is daur-e-khasta-haali mein khud ahl-e-dil hain mazaq-e-wafa se begane junun fareb-e-khirad hai khirad fareb-e-nazar mujhe kahin ka na rakkha meri tamanna ne