dil hi mein nala-e-shab-gir ulat jata hai na-muwafiq hai hawa tir ulat jata hai nale us ki nigah-e-qahr se ruk jate hain tir se murgh-e-hawa-gir ulat jata hai jalwa-gah mein teri kya thahrun ki saya na-chaar jab hua rukash-e-tanwir ulat jata hai thahra izhaar-e-wafa shikwa-e-wasl-e-aghyar rashk se hasil-e-taqrir ulat jata hai munh kharabaat mein rindon se chhupae kya shaikh nashshe mein daman-e-tazwir ulat jata hai zauq-e-tahsin 'zaki' kis qadar allah-allah dam-e-bismil dam-e-takbir ulat jata hai