abhi sach ka diya jalta kahan hai hawa ka rukh abhi badla kahan hai bahaar-e-dasht-arai ka mausam zaminon par abhi utra kahan hai musafir hain hum aise qafile ke pata jis ko nahin jaana kahan hai ghubar-e-ashnai ud raha hai koi chehra nazar aata kahan hai sab apne bahr-e-gham mein ghota-zan hain nashat-e-dard ka dariya kahan hai pahad ab aabshaaren ro rahe hain ye baadal tut kar barsa kahan hai ana zinda agar hai aadmi mein to phir ye maut se darta kahan hai meri har shab mera har din safar hai khuda malum ab rukna kahan hai ajab halchal mere andar machi hai qayamat hai magar barpa kahan hai bagule baam-o-dar se puchhte hain hamare raqs ka sahra kahan hai ajab be-khwabiyon mein umr guzri jise socha use dekha kahan hai dilon mein ek rabt-e-bahami hai abhi ye silsila tuta kahan hai gadayan-e-mohabbat puchhte hain hamara wo sakhi data kahan hai kulah-e-hirs kab rakkhi hai sar par qaba-e-kizb ko pahna kahan hai hadis-e-taat-o-ayat-e-haq ko koi is daur mein sunta kahan hai shiar-e-ijz-o-zauq-e-inkisari ye sikka shahr mein chalta kahan hai main duniya ke liye zinda hun 'mohsin' mujhe khud khwahish-e-duniya kahan hai