dil hi to hai nigah-e-karam se pighal gaya shikwa labon pe aa ke tabassum mein dhal gaya pahuncha na tha yaqin ki manzil pe main abhi mera khayal mujh se bhi aage nikal gaya khalwat bani hui thi teri anjuman magar main aa gaya to bazm ka naqsha badal gaya wan mutmain karam ki diya hai ba-qadr-e-zarf yan iztirab-e-shauq mein saghar badal gaya hai chashm-e-iltifat ko fikr-e-shikast-e-dil shayad harif koi nai chaal chal gaya pinhan tha laghzishon mein bhi ehsas-e-agahi main kya sambhal gaya ki zamana sambhal gaya khira hai bazm-e-yar mein 'nayyar' nigah-e-shauq shamen jalin ki daman-e-nazzara jal gaya