hijr-e-jaanan mein ji se jaana hai bas yahi maut ka bahana hai kyun na barsaen ashk dida-e-tar aatish-e-ishq ka bujhana hai ho adu jis pe kijiye ehsan kuchh ajab tarah ka zamana hai yaad dilwa ke dastan-e-visal aashiq-e-zar ko rulana hai rakh dila roz-o-shab umid-e-visal ranj-e-furqat agar bhulana hai jaan jati hai jis jagah sab ki usi kuche mein apna jaana hai koi dam mein adam ko hun rahi aa agar tujh ko ab bhi aana hai khak-sari na chhodna 'rana' ek din khak hi mein jaana hai