dil ho aawara magar aql thikane se rahe hum ye aadab mohabbat ke nibhane se rahe in dinon naz uthane ka nahin hai yara hum to khud se hain khafa un ko manane se rahe hijr ki dhup ne aankhon mein nami tak na rakhi ab teri yaad mein hum ashk bahane se rahe hai zamane ko mohabbat ka taqaza hum se hum jo mahrum-e-mohabbat hi zamane se rahe dil hai 'wasiq' tera pagal ise samjha lena khairiyat chahe jo apni to thikane se rahe