shikwa na karenge kabhi hum barq-o-sharar se

shikwa na karenge kabhi hum barq-o-sharar se
gulshan mein to khud aag lagi hai gul-e-tar se

wo log to sahil pe bhi dubenge yaqinan
ghabra ke palatte hain jo tufan ke dar se

tar-damani pe tanz na kar meri ai waiz
daman na kahin tar ho tera daman-e-tar se

kya koi mah-e-khubi nikal aaya sar-e-sham
tare bhi nazar aate gardun mein sharar se

ye kaisa hai dastur teri bazm ka saqi
khum koi lundhae to koi bund ko tarse

wo mujh se lipat jate hain baadal ki garaj se
allah kare ab ye ghata jhum ke barse

jibrail ke par jalte hain jis ja pe ai hamdam
'rumani' wahan pahuncha hai takhil ke par se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close