dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur le chal mujhe ai shauq-e-subuk-gam kahin aur han aur utha parde ko ai parda-nashin aur mujh sa nahin koi tere jalwon ka amin aur jitni wo mere haal pe karte hain jafaen aata hai mujhe un ki mohabbat ka yaqin aur mai-khane ki hai shan usi shor-e-talab se han aur nahin par hai taqaza ki nahin aur hai hasil-e-sad-zist jawani ka ye aalam ai umr-e-gurezan mujhe rahne de yahin aur mujh sa jo nahin aur koi chahne wala tujh sa bhi zamane mein nahin koi hasin aur kafi nahin mujh ko ye nigah-e-ghalat-andaz han aur badha hausla-e-qalb-e-hazin aur takrar ka ai shaikh yahi to hai natija tum ne jo kahin aur to hum se bhi sunin aur hum martaba-e-'arsh' koi un mein na hoga honge dar-e-jaanan ke bahut khak-nashin aur