dil ka aazar kam nahin hota shauq-e-didar kam nahin hota badh rahi hai bahut masihai dard-e-bimar kam nahin hota sulh-sazan-e-bazm-e-alam ka josh-e-paikar kam nahin hota dekh kar tum ko aur ko dekhen ab to mear kam nahin hota un ke inkar-e-ruh-farsa se un ka iqrar kam nahin hota ai falak aur koi taza sitam karam-e-yar kam nahin hota zahiri haq-parastiyon se kabhi kufr-e-din-dar kam nahin hota daur-e-mai mein kami to aati hai shauq-e-mai-khwar kam nahin hota mai se raghbat hai shaikh ko har-chand mai se inkar kam nahin hota 'arsh' dad-e-sukhan na milne se lutf-e-ashaar kam nahin hota