dil hote hote manzil-e-jaanana ho gaya aabaad rafta rafta ye virana ho gaya wo hain ki do-jahan ko apnae jate hain main hun ki apni zat se begana ho gaya jalne ka shauq uf tere kushte ki khak ka jo zarra ud gaya wahi parwana ho gaya teri tajalliyon ne wo badli hain suraten mera khayal ek pari-khana ho gaya wo rah rah-e-ishq hai jis mein ki rah-naward diwana jo hua wahi farzana ho gaya masti ki laghzishon ko tha ehsas-e-bandagi girna hi mera sajda-e-shukrana ho gaya saqi ki aankh mein wo bala ki sharab thi bad-mast ek nigah mein mai-khana ho gaya beganagi mein shad hun main is khayal se tera wahi hai sab se jo begana ho gaya bazm-e-qadah ko dekh ke khud-gharziyon se pak 'nami' sharik-e-maslak-e-rindana ho gaya