didar waqt-e-naza mayassar hua to kya ab mail-e-karam wo sitamgar hua to kya ji uthte kushtagan-e-mohabbat to baat thi barpa khiram-e-naz se mahshar hua to kya roz-e-azal raha to sahi imtiyaz kuchh gham mere waste jo muqaddar hua to kya sarmastiyon mein kaif nahin hai to kuchh nahin labrez agar sharab se saghar hua to kya mear hi buland hai zauq-e-nigah ka aalam tamam husn ka manzar hua to kya maujud wahshaten bhi hain charkh-e-kuhan bhi hai aaram gardishon se jo dam bhar hua to kya un ki jafa se khak mein aashiq to mil chuke ab qissa ek jahan ki zaban par hua to kya ishq-e-jafa se yar ko fursat na chahiye aalam qatil-e-chashm-e-fusun-gar hua to kya wahshi kahin hui hain bhala talkhiyan bhi kam dil apna lakh ranj ka khugar hua to kya