dil hua viran mata-e-chashm-e-nam jati rahi rafta rafta shorish-e-tab-e-alam jati rahi tujh pe kya guzri ki pas-e-ashiqan karne laga yani hum par wo teri mashq-e-sitam jati rahi hum ko duniya se shikayat hai kuchh is andaz ki thi kabhi duniya ko jaise qadr-e-gham jati rahi mai-kada hai rind hain saqi hai daur-e-jam hai bazm-e-jam baqi hai ab tak shan-e-jam jati rahi rah gaya sine mein gham aasar-e-gham zahir nahin ghamgusaron se bhi ab chashm-e-karam jati rahi jis ko kahte hain mohabbat ho gai ab rasm-e-ghair jis ko kahte hain murawwat besh-o-kam jati rahi