dil ishq mein tabah hua ya ki jal gaya achchha hua khalish gai kanta nikal gaya ulfat mein us ki jaan gai dil bhi jal gaya dushman ka do hi din mein diwala nikal gaya dil apna us se mangne ko main jo kal gaya aankhen nikalen ladne ko fauran badal gaya jalte hain ghair apna to matlab nikal gaya qismat se baat ban bhi gai daw chal gaya tarif-e-husn-e-yar ne is ko kya raqib rahbar bhi beach raste mein hum se badal gaya karta hun arz un se jo chalne ki main kahin kahte hain kya dimagh tumhaara bhi chal gaya bhaari hai raat hijr ki bimar par tere phir us ko khauf kuchh nahin ye din jo tal gaya dushman ke naqsh-e-pa ko jo dete ho galiyan pito lakir sanp to aaya nikal gaya kis rang mein wo rahte hain us ki khabar nahin mahfil mein in ki aaj main pahle-pahal gaya arman kya gae ki gaya dil bhi ishq mein ye wo jua hai jis mein hamara mudal gaya wo jalwa-gah-e-naz ho ya bazm-e-ghair ho jannat hamein wahin hai jahan dil bahal gaya dushman bhi jaan-nisar bane de ke apna dil hairat hai mujh ko rupaya khota bhi chal gaya anjam-e-ishq dekh liya apni aankh se ab to safi' dimagh ka tere khalal gaya