dil iztirab mein hai jigar iltihab mein dekha hai jab se main ne kisi ko naqab mein khul jaane mein wo kaif aur wo dilkashi kahan hai jab kisi ki sharm-o-haya-o-hijab mein main khinchta hun hath sukun ki talash se jab dekhta hun ek jahan ko azab mein ai shaikh kash tu bhi kabhi pi ke dekhta hai talkhi-e-hayat ka darman sharab mein ye shokhiyan ye ghaflaten ye hoshyariyan andaz sau tarah ke hain tere shabab mein kya aaj bhi rahengi sitaron se chashm-gin kya aaj bhi na aaenge wo mahtab mein ek ek ada-e-husn hamari nazar mein hai ulfat ki chashni hai nigah-e-itab mein 'saib' na puchh haal-e-dil-e-gham-zadah na puchh har sans meri in dinon hai iztirab mein