aakhiri hichki pe hai nashshe ki saghar jaga pyas ko nind jab aai to samundar jaga raat bhi din ki tarah meri pareshan guzri main na jaga to mere khwab ka paikar jaga ek aahat si achanak hui dil ko mahsus kisi derina tamanna ka muqaddar jaga subh hote hi khuda jaane chala jae kidhar raat-bhar shakh pe is gham mein gul-e-tar jaga thartharane lage kyun shish-mahal aap se aap kya kisi tute makan ka koi patthar jaga laut aae wahi aawara-o-gum-gashta khayal aankh khulte hi nazaron ka samundar jaga chhod aaya tha jo main pichhle janam mein 'saib' zehn mein aaj un armanon ka lashkar jaga