dil jab se tere hijr mein bimar pada hai jine se khafa jaan se be-zar pada hai sauda na bana gesu-e-jaanan se to kya gham le lenge kahin aur se bazar pada hai parhez tap-e-hijr se hai tujh ko jo ai dil tu aur bhi aage kabhi bimar pada hai farmaiye roke se ruke hain kabhi aashiq darwaze pe qufl aap ke sau bar pada hai main dair o haram ho ke tere kuche mein pahuncha do manzilon ka pher bas ai yar pada hai ki tark-e-mohabbat to liya dard-e-jigar mol parhez se dil aur bhi bimar pada hai tauqir nahin anjuman-e-khas mein dil ki shisha tere mai-khana mein bekar pada hai kuchh sham-e-judai mein sujhai nahin deta parda khirad o hosh pe ai yar pada hai 'jauhar' kahin bikti hi nahin jins-e-mohabbat kya qaht wafa ka sar-e-bazar pada hai