main ki khud apne hi andar hua tukde tukde yani kude mein samundar hua tukde tukde is imarat ka muqaddar hua tukde tukde jis ki buniyaad mein patthar hua tukde tukde koi laghzish kisi lamhe se hui thi shayad gardish-e-waqt ka mehwar hua tukde tukde chadhte suraj ki utarte hi kiran aankhon mein mere har khwab ka manzar hua tukde tukde jism mein phail gaya kanch ke rezon ki tarah kaun ehsas ke andar hua tukde tukde yaad itna hai gale mujh se mila tha koi phir meri pusht mein khanjar hua tukde tukde waqt ki dhaar pe lamhon ke sipahi ki tarah meri har sans ka lashkar hua tukde tukde