dil jae magar dhyan buton ka nahin jata sar jae magar ishq ka sauda nahin jata sach kahte hain sab log mohabbat ko bura hai haal-e-dil-e-bimar to dekha nahin jata ye kah ke wo baalin se mere uth gae afsos kambakht tera haal to dekha nahin jata kya denge wo mere dil-e-sozan ko tasalli sine pe mere hath to rakkha nahin jata tum chahte ho hosh mein aashiq ko jo lana kyon lakhlakha-e-zulf sunghaya nahin jata tu samne mere nahin aata hai ye andher aankhon hi mein rah ke tera parda nahin jata ghash kha ke kalim ek hi jalwe mein gire tum ab bhi arini ka tumhein dawa nahin jata