aur kya aakhir tujhe ai zindagani chahiye aarzu kal aag ki thi aaj pani chahiye ye kahan ki rit hai jage koi soe koi raat sab ki hai to sab ko nind aani chahiye is ko hansne ke liye to us ko rone ke liye waqt ki jholi se sab ko ek kahani chahiye kyun zaruri hai kisi ke pichhe pichhe hum chalen jab safar apna hai to apni rawani chahiye kaun pahchanega 'danish' ab tujhe kirdar se be-murawwat waqt ko taza nishani chahiye