dil jahan bhi duba hai un ki yaad aai hai hae kya sukun-parwar dard-e-ashnai hai tum sarab ban ban kar apni chhab dikhate ho tishna-lab musafir ki jaan par ban aai hai ye kashakash-e-hasti kitni dur le aai din kahan guzara hai shab kahan ganwai hai zindagi teri khatir tere dard-mandon ne ek jahan ki tohmat apne sar uthai hai roz-o-shab meri khatir jis ka dil dhadakta tha ab ye haal hai us ki yaad bhi parai hai main sada-e-gum-gashta main ada-e-na-zeba mera nam kitnon ko wajh-e-khud-numai hai khwab ho chuke 'shahin' sare waqiye phir bhi shahr shahr mein ab tak dastan-sarai hai