dar ki chhanw mein guzri kabhi zindan mein kati umr apni yunhi takmil-e-bahaaran mein kati baat us zulf-e-pareshan ki chali thi ek raat phir to har raat meri khwab-e-pareshan mein kati shakh-dar-shakh jale aur nasheman ke charagh jab koi shakh nasheman ki gulistan mein kati naqd-e-jaan de ke bhi chuk pai na qimat us ki ek saat jo kabhi halqa-e-khuban mein kati phul aankhon mein sajae hue aaya koi khair-maqdam ki ghadi sair-e-gulistan mein kati