dil jahan se uThae baiThe hain

dil jahan se uthae baithe hain
sab ko dekhe dikhae baithe hain

chaak-e-daman ye kah raha hai ki hum
dil ke tukde udae baithe hain

wo sar-e-bazm haal kya puchhen
mere matlab ko pae baithe hain

ab ajal kyun ki aaegi dekhun
wo ayaadat ko aae baithe hain

karte hain yun dua ki hum goya
hath asar se uthae baithe hain

agar aate hain wo to aane do
hum bhi aankhen bichhae baithe hain

us ke dil mein asar kar ai girya
ghair kya ghar banae baithe hain

us ke wade ko jaante hain hum
sham se zahr khae baithe hain

dar se wahshat-zadon ko khud na utha
ye koi ek jae baithe hain

ab to lab tak bhi aa na ai nale
hum tujhe aazmae baithe hain

tum bhi kar jao paemal ki hum
naqsh-e-hasti mitae baithe hain

kis ko dekh ai hazrat-e-'salik'
aaj kuchh munh banae baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close