ye haal mah-o-sal hai firaq se visal tak

ye haal mah-o-sal hai firaq se visal tak
hayat ko zawal hai firaq se visal tak

ulajh rahe hain mustaqil talash-e-sadgi mein hum
ye zindagi to jal hai firaq se visal tak

wo kis tarah karun bayan jo ho khushi ki dastan
malal hi malal hai firaq se visal tak

guman ko kis tarah likhun haqiqaton ka tarjuman
khayal hi khayal hai firaq se visal tak

sukun ki nind hai kahan thamega kab ye karwan
ubaal hi ubaal hai firaq se visal tak

yaqin mein kuchh guman hai guman mein kuchh yaqin hai
yahi dilon ka haal hai firaq se visal tak

'adil' dar-ba-dar hain hum jawab ki talash mein
sawal hi sawal hai firaq se visal tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close