dil-jalon se dil-lagi achchhi nahin rone walon se hansi achchhi nahin munh banata hai bura kyun waqt-e-waz aaj waiz tu ne pi achchhi nahin zulf-e-yar itna na rakh dil se lagao dosti nadan ki achchhi nahin but-kade se mai-kada achchha mera be-khudi achchhi khudi achchhi nahin muflison ki zindagi ka zikr kya muflisi ki maut bhi achchhi nahin is qadar khinchti hai kyun ai zulf-e-yar le ke dil itni kaji achchhi nahin aaen meri bazm-e-matam mein wo kya hath mein meinhdi rachi achchhi nahin shaikh ko de do mai-e-be-rang-o-bu us ki qismat se khinchi achchhi nahin ek hasin ho dil ke bahlane ko roz roz ki ye dil-lagi achchhi nahin zarra zarra aaftab-e-hashr hai hashr achchha wo gali achchhi nahin ahl-e-mahshar se na uljho tum 'riyaz' hashr mein diwangi achchhi nahin