sazgar hai hamdam in dinon jahan apna ishq shadman apna shauq kaamran apna aah be-asar kis ki nala na-rasa kis ka kaam bar-ha aaya jazba-e-nihan apna kab kiya tha is dil par husn ne karam itna mehrban aur is darja kab tha aasman apna uljhanon se ghabrae mai-kade mein dar aae kis qadar tan-asan hai zauq-e-raegan apna kuchh na puchh ai hamdam in dinon mera aalam mutrib-e-hasin apna saqi-e-jawan apna ishq aur ruswai kaun si nai shai hai ishq to azal se tha ruswa-e-jahan apna tum 'majaz' diwane maslahat se begane warna hum bana lete tum ko raaz-dan apna