dil jalta hai sham sawere ek charagh aur lakh andhere bhigi palken nind se khali chain ke dushman rain-basere log samajhte hain saudai pyar ne apne bhi din phere apna apna dard hai warna kis ki galiyan kaise phere un ka wo masum tabassum jaise koi phul bikhere a gham-e-dauran a gham-e-jaanan dil hai ek sitam bahutere kaise pahunche nind aankhon tak baitha hai dil rasta ghere tu hi bata ye dard hai kaisa palken meri aansu tere