ajab ahwal dekha is zamane ke amiron ka na un ko dar khuda ka aur na un ko khauf piron ka misal-e-mahr-o-mah din raat khate charkh phirte hain falak ke hath se ye haal hai raushan-zamiron ka qafas mein phenk hum ko phir wahin sayyaad jata hai khuda hafiz hai gulshan mein hamare ham-safiron ka mujhe shikwa nahin be-rahm kuchh tere taghaful se khule-bandon phire tu haal kya jaane asiron ka dil-e-yaqut hai tujh lal-e-lab ke rashk se pur-khun tere dandan ke aage ghat gaya hai mol hiron ka kiya hai us nishan-andaz ne tarkash tahi mujh par meri chhati sira ho jis upar toda hai tiron ka hamein diwan-khane se kisi munim ke kya 'hatim' hai aazadon ke gar rahne ko bas takiya faqiron ka