dil jalwa-gah-e-surat-e-jaanana ho gaya

dil jalwa-gah-e-surat-e-jaanana ho gaya
shisha ye ek dam mein pari-khana ho gaya

shab kyun ki saltanat na kare taj-e-zar se shama
rashk-e-par-e-huma par-e-parwana ho gaya

kaifiyyaton se gardish-e-chashm-e-butan ki dil
shisha kabhi bana kabhi paimana ho gaya

tughyani-e-sarishk se apni bhi baad-e-qais
dariya ka pat daman-e-virana ho gaya

zanjir kyun na us ki qadam-bos ho bhala
jo koi tere ishq mein diwana ho gaya

yan tak kiya hai shohra-e-afaq ishq ne
qissa mera bhi khalq mein afsana ho gaya

kya roiye kharabi-e-iqlim-e-dil ko dekh
aankhon ke dekhte hi to kya kya na ho gaya

saqi kidhar phire hai tu tanha ba-rang-e-jam
tujh bin kharab in dinon mai-khana ho gaya

aankhon se tujh ko yaad main karta hun roz-o-shab
be-did mujh se kis liye begana ho gaya

bawar nahin to ashk-e-musalsal ko dekh le
dast-e-mizha mein subha-e-sad-dana ho gaya

kahte hain us ke silsila-e-zulf mein 'nasir'
dil bhi murid ab sifat-e-shana ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close