raushni ban ke andhere pe asar hum ne kiya dasht-e-tanhai se kya khub guzar hum ne kiya bandish-e-hijr ko toda nahin tu ne aa kar yaad kya tujh ko nahin sham o sahar hum ne kiya ek bayaban bhi mila muntazir-e-nur-e-azal dil ki virani ko jab pesh-e-nazar hum ne kiya aur kuchh ho na saka surat-e-darman lekin apna daman to sar-e-dida-e-tar hum ne kiya dard ke mare hue log the khwabon ke qarib kaise nadida zamanon ka safar hum ne kiya hum ne dekha hai wahan phir bhi ujala 'rashid' sath rahte hue sab ke jahan ghar hum ne kiya