dil jis ka aaine ki tarah pak-saf hai

dil jis ka aaine ki tarah pak-saf hai
kya baat hai zamana usi ke khilaf hai

wo shakhs kar raha hai mohabbat ka qatl-e-am
nafrat ka jis ki fikr pe har dam ghilaf hai

sajda namaz-e-shauq ka karti hain titliyan
daman har ek gul ka bahut pak-saf hai

hum ne khuda bana diya jis ko tarash kar
wo sang-e-rah aaj hamare khilaf hai

duniya samajh rahi hai mujhe sahib-e-zaban
mera bhi par durust kahan shin qaf hai

tu ho raha hai lazzat-e-duniya se shad-kaam
'sabir' bata ye kaisa tera etakaf hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close