dil jo surat-gar-e-mani ka sanam-khana bane aankh jis shai pa pade jalwa-e-jaanana bane utne hi ho gae hum manzil-e-irfan ke qarib jis qadar rasm-o-rah-e-dahr se begana bane ta-dar-e-yar pahunchta hai wo khud-rafta-e-shauq apni hasti se jo is rah mein begana bane zarf-e-mai tut ke bhi hone na pae bekar ho shikasta koi shisha to wo paimana bane sai-e-nakaam se main hath uthaunga na 'barq' meri bigdi hui taqdir bane ya na bane