wufur-e-shauq mein aah-o-fughan ko bhul gae tum aa gae to gham-e-do-jahan ko bhul gae asir-e-gham hain qafas mein guzar lete hain chaman ko bhul gae aashiyan ko bhul gae hayat-e-chand-nafas mein kashakash-e-paiham rahi hai utni ki dard-e-nihan ko bhul gae daraaz-dasti-e-aghyar ka gila kya hai adu ko bhul gae mehrban ko bhul gae rah-e-hayat ki manzil ajib pechida kahan ki rah khud hum karwan ko bhul gae sunaen ishq ki rudad kya tumhein ai 'barq' hai mukhtasar si magar dastan ko bhul gae