dil jo ummid-war hota hai tir-e-gham ka shikar hota hai jab tera intizar hota hai dil mera be-qarar hota hai ye hi fasl-e-junun ki hai tamhid pairahan tar tar hota hai aankh milte hi us sitamgar se tir sine ke par hota hai muskurahat labon pe hai un ke dil mera ashk-bar hota hai us ka karte hain e'tibar ki jo qabil-e-e'tibar hota hai uth ke pahlu se ja raha hai koi kya ye parwardigar hota hai kya bataun teri judai mein jo mera haal-e-zar hota hai sham-e-gham intizar mein un ke maut ka intizar hota hai un ke jaane ka nam sun kar 'raaz' kuchh ajab haal-e-zar hota hai