achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke pichhe lage hue hain din raat aadmi ke rukhsat hue to jaana sab kaam the adhure kya kya karen jahan mein do hat aadmi ke mitti se wo utha hai mitti mein ja milega udte phirenge ek din zarraat aadmi ke ek aag hasraton ki sochon ka ek samundar kya kya wabaal yarab hain sath aadmi ke is daur-e-irtiqa mein 'munzir' qadam qadam par pamal ho rahe hain jazbaat aadmi ke