dil ka ahwal zamane pe ayan ho sakta lafz ai kash tamanna ki zaban ho sakta ye samajhte hi nahin dard ka bais kya hai mera dil kash dil-e-chaara-garan ho sakta dekh sakta kisi khanjar ki lapak ka manzar koi gham-khwar qarib-e-rag-e-jaan ho sakta chand ki mashal-e-be-kar bujha di jati raat par raat ka shiddat se guman ho sakta kam na hoti jo tapish dard ke angaron ki ruh mein hausla-e-zabt-e-fughan ho sakta sher banne se khayalat bikhar jate hain kash 'jamshed' ye dukh yunhi bayan ho sakta