jawab mangta tha main sawal de diya gaya talash dar talash ka wabaal de diya gaya ata hua tha jab yaqin ki sabz wadiyon mein ghar to kyun dar-e-guman pas-e-khayal de diya gaya meri zamin-e-chashm-e-nam mein khwab bo diye gae mujhe khamir-e-shauq la-zawal de diya gaya hawaon ko dayar-e-dil ki raat saunp di gai badan ko sham-e-na-tawan ka haal de diya gaya tumhaare baad daulat-e-gham-e-jahan mil gai dua qubul ho gai malal de diya gaya nasib-war tumhein to tauq-e-hasrat-e-fana mila hamein to khauf-e-lamha-e-visal de diya gaya ye dastan-e-tifl-e-nai sawar-e-rakhsh-e-agahi kamal phir zawal phir kamal de diya gaya