dil ka bura nahin magar shakhs ajib dhab ka hai mujh se hai khas dushmani waise to yar sab ka hai duriyon ne mita diye jo bhi the qurbaton ke ranj ab meri baat baat mein rang teri talab ka hai mere lahu mein thi rawan jab tere sans ki mahak jaane ye kab ki baat hai jaane ye zikr kab ka hai ek zara si baat par badli thi jab teri nazar tujh ko khabar nahin magar dil to udas tab ka hai kyun na dil-e-khizan-nasib har gul-e-tar ko chum le aaj to phul phul mein zaiqa us ke lab ka hai kaif-o-nashat-o-sar-khushi nematen sab usi ki hain mujh ko ata kiya hua dard bhi mere rab ka hai shaukat-o-shan-e-izdi dil ne kahan se sikh li sab se hai be-niyaz bhi dhyan bhi us ko sab ka hai rah dikhai tak na di tira-shabi bala ki thi aankh na khul saki meri nur bhi is ghazab ka hai hashr ka din bhi ho to kya ye bhi nasib hai mera din hai guzar hi jaega khauf to mujh ko shab ka hai