usi dard-ashna dil ki taraf-dari mein rahte hain hum apne-ap mein gum apni gham-khwari mein rahte hain yunhi hum rafta rafta dil-girafta hote jaenge ki hum apne ghamon ki naz-bardari mein rahte hain ye duniya hum ne duniya-dar ki aankhon se dekhi hai magar ai dil hum apni hi amal-dari mein rahte hain hamare sukh bahut kam aur dukh un se bahut kam hain so hum bhi aaj kal un ki nigah-dari mein rahte hain abhi ahl-e-hawas duniya mein kya kya gul khilaenge abhi ahl-e-junun khwab-e-jahan-dari mein rahte hain