dil ka ek ek dagh sham-e-zer-e-daman ho gaya hum jahan pahunche wahin jashn-e-charaghan ho gaya chaak-e-dil ki baat thi chaak-e-jigar ki baat thi muft mein ruswa mera chaak-e-gareban ho gaya raqs kar yun ek ek band-e-anasir tut jae ai junun pabandiyon se dil pareshan ho gaya kis se puchhun irtiqa ki kaun si manzil hai ye aadmi khud aadmi ka dushman-e-jaan ho gaya chhodiye afsana-e-insan ko insan ab kahan wo to bechaara halak-e-kufr-o-iman ho gaya phul mahrum-e-tabassum aur saba mazur-e-raqs ye gulistan kya hua ai 'naqsh' zindan ho gaya