dur hai ba-huzur lagta hai go hai mastur ur lagta hai aab-o-nan-o-hawa nahin kafi tere dil mein futur lagta hai ja rahe ho khuda ke ghar yani wo tumhein khud se dur lagta hai garche hargiz mera qusur nahin phir bhi mera qusur lagta hai ek aalam pe bhi nahin raazi ye dil na-subur lagta hai zehn aazad fikr hasti hai jo guna ka tanur lagta hai ek mitti ka dher hai wo to jo tumhein koh-e-tur lagta hai roz hota hun ham-kalam us se roz yaum-e-nushur lagta hai khud phansate ho khud chhudate ho khel koi huzur lagta hai