dil ka gham aashkar karta hai jaan koi nisar karta hai tum ko malum hai koi insan tum ko khamosh pyar karta hai mausam-e-hijr mein use dekho intizar-e-bahaar karta hai mera dushman hai dost se behtar samne se to war karta hai jis ke sae mein roz milte the wo shajar intizar karta hai