had se baDh jae bhi to dard dabae rakhna

had se badh jae bhi to dard dabae rakhna
apne jazbaat ko sine mein chhupae rakhna

har taraf khar hain aur rah bhi dushwar bahut
apne daman ko saliqe se bachae rakhna

jaane kis pal koi tabir hi sach ho jae
apni nindon ko to khwabon se sajae rakhna

ham-safar ka hi pata aur na manzil ki khabar
raste ko to pata apna batae rakhna

tir barsen bhi agar hath na laghzish khaen
apne hathon mein to parcham ko uthae rakhna

teri baaton mein ye talkhi hai kyon kah de 'anwar'
tu ne sikha hi nahin sach ko chhupae rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close