dil ka mausam zard ho to kuchh bhala lagta nahin koi manzar koi chehra khushnuma lagta nahin dhundle dhundle ajnabi se log aate hain nazar muddaton ka aashna bhi aashna lagta nahin sakht mushkil ho gaya hai imtiyaz-e-khub-o-zisht phul si poshak mein bad-khu bura lagta nahin lut kar aate nahin kyun aashiyanon ki taraf bhole-bhaale panchhiyon ka kuchh pata lagta nahin yasiyat jab phail jae matla-e-afkar par rasta koi bhi apna rasta lagta nahin iltija ki tahniyan hoti nahin hain kyun hari kyun samar meri dua mein ai khuda lagta nahin