amiron ke bure atwar ko jo thik samjhe hai meri haq baat ko wo qabil-e-tashkik samjhe hai bahut mushkil hai jo us ki gharibi dur ho jae ajab khuddar hai imdad ko bhi bhik samjhe hai mere bare mein us ke kan bharta hai koi shayad bayan tausif karta hun to wo tazhik samjhe hai tere khat teri taswiren shikasta-dil ke kuchh tukde tera diwana in sab ko teri tamlik samjhe hai main us ke har guman ka pas akasr rakkha karta hun mera dil apne dil ke wo bahut nazdik samjhe hai chale hai is tarah jaise chale talwar par koi wo meri rahguzar ko jaane kyun barik samjhe hai siyasat ke andheron ne ujale sab nigal dale gharib insan din ko bhi shab-e-tarik samjhe hai