dil ka moamla jo supurd-e-nazar hua dushwar se ye marhala dushwar-tar hua ubhra har ek khayal ki tah se tera khayal dhoka teri sada ka har aawaz par hua rahon mein ek sath ye kyun jal uthe charagh shayad tera khayal mera ham-safar hua simti to aur phail gai dil mein mauj-e-dard phaila to aur daman-e-gham mukhtasar hua lahra ke teri zulf bani ek hasin sham khul kar tere labon ka tabassum sahar hua pahli nazar ki baat thi pahli nazar ke sath phir aisa ittifaq kahan umr bhar hua dil mein jarahaton ke chaman lahlha uthe 'muztar' jab us ke shahr se apna guzar hua