kisi ke hijr mein qurban raat karte hue kata hai waqt sitaron se baat karte hue wo kya darega nai wardat karte hue hamein guzarna hai khud ehtiyat karte hue kisi ke khwab uthae kisi ki aankhon ne kisi ko dekha hai palkon ko hath karte hue ye rah-e-ishq hai is mein bala ki phislan hai sambhal sambhal ke chalo ehtiyat karte hue bataun kya ki main pahuncha hun kis tarah tum tak na-mumkinat ko bhi mumkinat karte hue wo ek chand ki jis ko zamin pe lana hai nikal raha hun main galiyon mein raat karte hue mubahison se bahut tang aa gaya hai 'pawan' suna de ab tu saza iltifat karte hue